History of April fools day (1 april ) in Hindi By Technology in hindi : april fools day ki history kya aur april fools day kyu manaya jata hai . april fools day manane ke piche kya rochak bante ya history chipi huyi hai . april fools day ko logo ko murkh kyu banaya jata hai . april fools day kab se manaya jata hai aur kyo .
Sabse pahle Happy April fools in advance ………
namskar mitro technology in hindi me aapka swagat hai . aaj ham is post me janenge history of april fools day . aap logo ko itna to pata hi hoga ki 1 april ko april fools day manaya jata hai aur is din logo ko murkh banakar april fools day ko celebrate kiya jata hai par shayad aapko ye pata nahi hoga ki april fools day ki history kya hai . april fools day kyu manaya jata hai .
- RRB Recruitment Apply Online – Railway Group D 62907 Post
- Mobile me internet ki speed fast karne ka easy tarika (Tips)
History of April fools day (1 april ) in Hindi By Technology in hindi
jaisa ki aapne uper padha ham is post me history of april fools day ke bare me hindi me bat karne ja rahe hai , is post me april fools day se judi kai story aur history ko is post me ujagar karne ja rahe hai . april fools day ke bare me to sub jante hai par uski history ko shayad koi nahi janta . jab tak ham kisi chij ki jad ko nahi pehchan pate tab tak hamara knoledge adhura rah jata hai . to bina time gavaye start karte hai .
History of April fools day in Hindi By Technology in hindi
To friends ham sidhe aa jate hai hamare topic par jo hai history of april fools day hindi me . chaliye shuru karte hai
Vaise isko manane ke piche koi thos karan nahi hai par 2 story yani kahani prachlit hai . jinhe ham yaha par mention karnge
1. Chaucer’s canterbury Tales
aisa mana jata hai ki april fools day ka sabse pahle jikra 1392 ke england writer chousar ki book kentarbari tels me milta hai . nans pristas ki ek kahani is book ke anusar ingland ke raja rechrd II aur bohemiya ki rani eni ki sagai ki date 32 march ghosit kar di gayi jise vaha ke nagriko ne sach man liya aur murkh ban baithe aur usi time se ya 32 march ya 1 april se 1 aprtil ko april fools day ke name se jana jata hai . 32 march ko sagai tay karna aur logo ka murkh ban jane se us din ko murkho ka din ya fir april fools day ke name se jana jata hai
ab history of april fools day ke ke bare me prachlit 1 story ke bare me to complete pata chal gya hoga . ab chalte hai dusri kahani ki aur jante hai ki kya chipa hai sach april fools day ke itihas ke uper .
Second
2. New Year Aur April Fools day
Present time jo calender ham use karte hai ya puri duniya use karti hai vo gregeriyan calender hai jo gegrin dwara 1852 me laya gya tha . usi ke anusar hi ham 1 january ka new year mante hai . aur puri duniya 1 january ko new year iske piche hi manti hai .
lekin iske pahle roman log 1 april ko aur yuropian 25 march ko new year mante aur manate the . is antar aur aankdo ki study ke karan gregirian calender ko laya gya .jise kai desho ne manyta nahi di par frach ne use swikar kar liya aur kai desho ko iske bare me vistrat jankari prapat nahi huyi . aur is karan kai log 1 april ko new year manane lage .
jab yah bat faili to in logo ko murkh samjhkar murho ki shreni me rakha gya aur usi din yani 1 april se hi april fools day manaya jane laga .
hamne yaha par 2 alag alag story ka jikra kiya hai , log apni manyatao ke anusar hi mante ki konsi kahani vastvik hai aur konsi kalpnik . hamne yaha par dono hi kahani ko mention kar liya hai
History of April fools se judi kuch aur bante jarur padhe
- london me hajaro logo ke pas ek suchna pahuchi ki aaj sham tower of london me white gadho ke nahane ka program rakha gya hai , uske liye sabhi log invite hai . aur aate time apna invite card sath me lave .. jab log vaha gaye to unhe pata chal ki unhe murkh banaya gya hai
- china me prachin kal me dung divas manaya jata tha . usi din badi badi dinge marene ka kam kiya jata tha . usi ke sath me yah kahani bhi prachlit hai ki ek kunwari kanya ka vivah nadi devta se karne ki prampara chalti thi . ek kanya ko taiyar kar use saj sanwar karvakar aur ek sej par litakar use nadi me dubo diya jata tha .
- 1945 me amrika ki koutul smiti namak sanstha ne april ke first week ko hasy week banane ka nirnaya liya tha . isi prakar 1960 me april ke week ko amrika ke publicity ke rup me jordar dhang se manaya gaya .
- yurop ke desho me har 1 april ko noukar malik ki aur malik noukar ki bhumika ada karta tha . noukar bane malik ko har tarah ka noukar ka kam karna padta tha aur uska hukam mankar kapde dhona , bartan saf karna aadi vah vinmrta purn karta tha .
- french ke narmedi 1 april ko anokha julush niklata tha , jisme ghodagadi me ek mote aadmi ko bithakar shahar me ghumaya jata tha jise dekhkar log hase .
- india me kai jagaho par ise manate hai par vo jhooth bolkar ya fir kisi ko murkh banakar April fools day celebrate karte hai ya manate hai . kisi ki afvah failakar ya kisi ko nicha dikhakar ke bhi bahut jagah ye manaya jata hai
- History of april fools day ki ye post aapko kaisi lagi ye comment box me bataye aur ye jarur bataye ki kya aap bhi april fools manate hai if yes to kaise manate hai kisi ko murkh banakar ..etc . agar is post ( history of april fools day ) agar koi suggetion ho to besak comment kare .agar aap Technology in hindi ki help karna chahte hai to is post ko jyada se jyada share kare niche share button hai besak dabado . aur agar aapne abhi tak hamare newsletter ko subscribe nahi kiya hai to kar le aur facebook page ko like jarur kare ham daily isme new update late hai . history of april fools day ki jankari aapko pata hogi par jaruri nahi ki aapke dost ko bhi hogi so keep sharing ..
Keep this going please, great job!
your blog is awesome.